"Har Koi Kehta Hai Ki Patni Sirf Taqleef Deti Hai, Par Kabhi Kisi Ne Ye Nahi Socha Ki Taqleef Me Hamara Saath Bhi Wo Hi Deti Hai."
"Patni Ki Wafadaari Ka Tab Pata Chalta Hai, Jab Pati Berojgaar Hota Hai, Or Pati Kitna Pyaar Karta Hai Ye Tab Pata Chalta Hai, Jab Patni Beemar Hoti Hai."
"Pati Or Pati Ka Rishta Tom & Jerry Ki Tarah Hona Chahiye, Mana Ki Wo Ek Dusre Se Ladte Hai, Magar Ek Dusre Ke Bina Reh Bhi Nahi Sakte Hai."
"Pati Patni Ya To Ek Dusre Ki Sabse Badi Taaqat Ban Sakte Hai, Ya Phir Ek Dusre Ki Sabse Badi Kamzori."
"Meri Patni Meri Jaan Ho Tum, Mera Pyaar Or Mera Abhimaan Ho Tum, Tumhaare Bina Adhura Sa Hu Main, Kyo Ki Mera Poora Sansaar Ho Tum."
"Mere Name Ko Tere Surname Ka Sahara Chahiye, Samajh Gaye Ho Ya Phir Koi Or Ishara Chahiye."
"Ab Koi Naya Khwaab Dill Me Utarta Hi Nahi, Bohat Hi Shakht Pehra Hai, Tumhara Mere Dill Par."
"Ek Tum Or Ek Tumhaari Mohabbat, Bas Itna Hi Kaaffi Hai Mere Liye Ye Zindagi Jeene Ke Liye."
"Jo Jaane Mere Halato Ko, Jo Samjhe Mere Jazbaato Ko, Har Sukh Har Dukh Ki Saathi Ho, Thaam Ke Rakhe Jo Haatho Me Haath, Esi Hi Meri Jeewan Sathi Ho."
"Jiski Mujhse Nayi Pehchaan Bani, Do Dill Or Ek Jaan Bani, Har Haalat Me Wo Muskurati Rehti, Ban Kar Ardhangini Wo Mera Samman Bani."
"Annkho Se Ab Jati Hi Nahi Tasveer Teri, Na Jaati Hai Dill Se Mohabbat Teri, Tere Maayke Jaane Par Hota Hai Ye Ahsaas Mujhe, Ab To Zarurat Hai Pahle Se Zyada Teri."
"Sab Mil Gaya Aapko Paa Kar, Jese Hum Poore Ho Gaye Aapko Paa Kar, Sawar Gayi Hai Zindagi Hamari Har Lamhe Ke Saath, Apko Apni Zindagi Ka Hissa Bana Kar."
"Pati Patni Ke Rishte Ki Shaan Ban Jaaye, Jo Kabhi Na Mit Paaye, Esi Ek Dooje Ke Labo Ki Muskaan Ban Jaaye."
"Jeewan Tumhaare Bina Ab Katega Nahi, Tumhaari Yaad Mere Zehan Se Mitegi Nahi, Tum Ban Gaye Ho Meri Zindagi, Ye Safar Tumhaare Bina Kabhi Katega Nahi."
"Jo Dill Se Chaha Wo Mila Humko, Na Ab Koi Shkwa Hai, Na Gila Humko, Na Koi Tamanna, Na Khwahish Humko, Poore Ho Gaye Armaan Jab Se Paa Lia Aapko."
"Teri Dhadkan Hi Zindagi Ka Kissa Hai Mera, Tu Hi Zindagi Ka Aaham Hissa Hai Mera, Meri Mohabbat Tujhse Sirf Lafzo Ki Nahi, Saat Fero Se Bandha Gehra Rishta Hai Mera."
"Kisi Se Na Kuch Lena Dena, Apne Apno Ka Saath Nibhaati Hai, Apne Acche Swabhaav Se Hi Wo Meri Pyaari Patni Kehlaati Hai."
"Na Kehti Ki Mujhe Hadd Se Zyada Chaho, Na Kaha Mere Liye Chaand Taare Tod Laao, Farmaahish Bas Itni Ki, Bas Ek Nazar Pyaar Se Dekh Lo, Or Ek Pyaari Si Muskaan Bhej Do."
"Mere Gusse Ko Bhi Jo Sehan Kare, Mere Pyaar Ko Bhi Wo Apnaati Hai, Wo Or Koi Nahi, Meri Patni Hai Jo Meri Sacchi Jeewan Saathi Hai."
"Sukh Dukh Me Hum Tum Har Pal Saath Nibhaayenge, Ek Janam Nahi Saat Janam Pati Patni Banne Ki Kasam Khaayenge."
"Kismat Or Patni Bhale Hi Pareshan Karti Hai, Magar Jab Saath Deti Hai To Hamari Zindagi Badal Deti Hai."
"Khuda Ka Banaya Hua Rishta, Bhara Hai Pyaar Or Takraar Jisme, Roothne Or Manaane Ka Sargam, Kabhi Na Toote Ye Prem Ka Bandhan."
"Jeewan Jeene Ke Liye Ek Saathi Hona Chahiye, Dukh Baatne Ke Liye, Humdard Hona Chahiye, Saat Janaam Saath Nibhaaye Esa Hi Jeewan Saathi Hona Chahiye."
"Zindagi Me Aapke Aane Se Har Mukam Mila Hai Humko, Lagta Hai Jaise Naseeb Ka Jaam Mila Hai Humko, Bhar Diaa Apne Hamazri Zindagi Me Pyaar Jo Itna, Lagta Hai Khuda Se Maangi Hui Duaao Ka Anjaam Mila Hai Humko."
"Patni Kabhi Ek Pati Ke Liye Problem Nahi Hoti, Patni To Pati Ke Liye Wo Sukh Dukh Ka Saathi Hai, Jo Zindagi Ke Ese Mod Par Bhi Saath Hoti Hai, Jaha Kabhi Kabhi Gharwaale Bhi Saath Nahi Hote."
"Koun Kehta Hai Ki Shouk Or Zidd Kewal Maa Baap Poore Karte Hai, Agar Pati Accha Mil Jaaye To Shouk Bhi Poore Hote Hai, Or Zidd Bhi."
"Jawani Me Aap Apni Patni Ki Izzat Kar Lijiye, Budhaape Me Wo Apka Budhaapa Sawaar Degi, Kyo Ki Budhape Me Apka Beta Ya Bahu Bhale Hi Saath Na De, Magar Apki Patni Marte Dam Tak Aapka Saath Nibhaayegi."
"Kuch Log Dusro Ka Gussa Ghar Aakar Apni Patni Par Nikaalna Apna Adhikaar Samajhte Hai, Or Patni Sirf Ye Soch Kar Bina Bole Aapka Gussa Sehti Hai, Ki Kahi Uske Bolne Se Ye Pati Patni Ke Rishte Ki Dor Na Toot Jaaye."
"Patni Ka Samman Kare, Kyo Ki Jab Aapke Saath Koi Nahi Hota Hai, To Aapki Patni Hi Sacche Mann Se Apka Saath Nibhaati Hai."
"Hazaaro Ladkiyaa Aati Hai, Hazaaro Jaati Hai, Hazaaro Hasaati Hai, Hazaaro Rulaati Hai, Lekin Mere Dost Saath Vahi Nibhaati Hai, Jo Doli Me Baith Kar Hamare Ghar Aati Hai, Or Arthi Par Let Kar Hamare Ghar Se Jaati Hai."
"Nahi Kehti Ki Haath Pakad Kar Chalo Mera, Par Kabhi Do Kadam Sath To Aaya Karo, Yu Hi Guzar Jaayega Zindagi Ka Safar Bhaagte Bhaagte, Ek Pal Thak Kar Mere Saath To Beth Jaaya Karo."
"Kabhi Apne Pati Hone Par Guroor Na Karna, Hai Himmat To Kabhi Patni Ban Kar Ek Din Bitana, Saari Akal Thikaane Aa Jayegi."
"Patni Hona Aasan Nahi Hota, Apni Icchao Ko Maar Kar Sabko Khush Rakhna Padta Hai."