Zindagi me kuch dost kaanch or Parchai jaise zaroor rakho ….
Kyu ki kaanch kbhi juth nahi bolta or parchai kabhi sath nahi chodti.
Acche rishton ko waado or sharto ki zaroorat nahi hoti……
Bas do khoobsurat log chahiye …
Ek Nibha sake or dusra samajh sake.
Meri mohabbat hai wo koyi mamuli ladki nahi.
Koyi use chede ye mjhy bardash nahi.
Cheer dhengy hm use agar.
Wo kehdhy kisi ka naam ek bar.
Ye ek AshiQ ka wada hai koi jhooti kasam nahi.
Jo insaan khud ko chaalak or dusron ko bewkoof samajhta hai………
Aksar whi dhoka kha jata hai.
Jhuki jhuki si nazar beqaraar ha k nahi
daba daba sa sahi dil mein pyaar hai ki nahi
tuu apane dil ki javaan dhadkanoo ko gin ke bataa
meri tarah tera dil beqraar ha ki nahi.
Yeh zaroori nahi ki jo log apke saamne apki tareef kre,
Woh apke peeche bhi yhi soch rakhte ho.
Woh Hum Se Baat Nahi Karty Toh Na Kare
Haal Saara Unke Dil Ka Suna Dyti Hain Aankhen
Gham Sada Rehta Nahi Aadmi K Saath
Ashk Bana Kar Chalka Dyti Hain Aankhen.
Samay accha ho to aapki galati bhi mazak lagti hai….
Lekin agr samay hi kharaab ho to aapka mazzak bhi apki galati ban jati hai.
Koi itna Ameer nahi ki Apna purana waqt khareed sake….
Or koi itna gareeb nahi ki woh apne aane wala kal na badal sake.
Insaan us waqt sabse zyada bewkoof banta hai ….
Jab woh aksar dusro ko bewkoof banane ki saajish me ho.
Zindagi ne agar bura waqt naa aaye toh…
Apno me chupe hue gair or gairo me chupe hue,
Apno ki pehchaan kabhi nhi ho sakti.
Poore ki khwaahish me insaan bohat kuch khota hai……..
Bhool jata hai ki Aadha chand bhi khoobsurat hota hai.
Apni acchaai pr itna bharosa rakho….
Ki jo bhi tumhe khoyega …….
Yakeenan woh royega.
Qadar karna seekh lo ….
Kyu ki naa toh zindgi dobara milti hai…
Or naa hi log.
Dosti tu sirf aik ittefaaq ha
yeh tu dilon ki mulaakaat ha
dosti nahi dekti din hai ki raat ha
isme tu sirf wafaadaari aur jasbaat ha..
Soch acchi honi chahiye…..
Kyu ki Nazar ka ilaaz toh mumkin hai…..
Lekin Nazariye ka nahi.
Qadar or waqt bhi kamal le hote hai…..
Jiski qadar karo woh waqt nahi deta…..
Or jise waqt do woh qadar nhi karta.
Akele hi ladni padti hai zindgi ki ladai……
Log sirf tasalli dete hai….Sath nahi.
Kitaabo ki Ahmiyat to apni jagah hai janab…..
Sabak wahi yaad rhta hai jo log or waqt sikhate hai.
Akelepan se seekhi hai par baat sacchi hai…….
Dikhaawe ki Nazdikiyon se dooriyaan hi acchi hai.
Jo log udne ka shouk rakhte hai…..
Woh aksar girne ka khouff nahi rakhte.
Zindgi ko kbhi to khula chod do jeene ke liye…..
Kyu ki sambhal kr rkhi hui chiz waqt par nahi mila karti.
Kadar woh hoti hai….
Jo kisi ki mojudagi me ho……..
Jo kisi ke baad ho use Pachtawa kehte hai.
Waqt or kismat par kabhi ghamand mat kro…..
Subah unki bhi hoti hai jinhe koi yad nahi karta.
Kuch Aisa Ho Ye Shaam Dhaley..
Koi Hath Main Thamey Hath Mera..
Koi Ly K Mujhko Sath Chaley..
Koi Bethe Mere Pehlu Main..
Mere Hath Pe Apna Hath Dharey..
Aur Ponch K Aansun Aankhon Se..
Wo Dhere Se Ye Baat Kahe.
Dil Ki Baaten Bata Dyti Hain Aankhen
Dadhkano Ko Jaga Dyti Hain Aankhen
Dil Pe Chalta Nahi Jadu Chehron Ka Kabhi
Dil Ko Toh Deewana Bana Dti Hain Aankhen.